Sunday, 28 December 2014

A mere dost fir ek baar milate hai..college ki galiyo us bite kal se fir ek baar milate hai...

Ek wo mausam tha college ki baato ka...aisa lagata tha jaise din ki shurwaat college me aane k liye hoti hai...aur raate khatam subah k entazaar me..armaan ...ek sapana huwa karata tha un raato ka...filmo ki deewangi....ddlj ka koie andekha ..anjana chehara aata tha harroz khayalo me mere....aisi hi raate huwa karati thi thandi...aakho me dhudale dhudale se khawab...jinhe pura karane k liye dilo jaan ek karane ki koshish....tab sapane huwa karate the par jeb me paise nahi...yuhi cycle par baithe dusare ki motar car ko dekh kar haato me haat daal saara shaher ghumane ka nazara to bas aakho me..khayalo me huwa karata tha...aaj to bas wahi motar bike dost ban k rah gayi hai...shaher wahi hai..raasta bhi wahi bas apni gadi ki pichli seat pe us dost kami mehasus hoti hai...jeb me bahot paise hai..paani puri nahi ice cream bhi kha sakate hai..     sirf shehar ka ye chhota park nahi....puri duniya ghum sakate hai.. bas mere dost tu aaja ek baar..college ki galiyo me ghumate hai.. zindagi ki wo tuti kadi dhudate hai..jee khol k has sake....hamare yaado se judi gujare palo  ki xerox machine ko dhudate hai...humari yaado ki ek copy nahi ...pachas photo copy karwate hai..fir ek baar hum sab milate hai...bas huwa sochana.. chalo chalate hai...jindagi k us gujare kal ko es pal me jeete hai....


Thursday, 25 December 2014

Saanse chalati bhi hai meri.....to bas us ek pal se rubaroo hone ki khatir..

Saara jahan maaga..sapano ka aasmaan maanga...a mere khuda maine us ki khushi k khatir .. tuz se apne liye dard ka aalam maaga...mere jaane pahachane raasto me bhi etani raunak na thi kabhi....utani hi khubsoorat wo anjaan galiya thi... tha mere sapano k shaher ka mausam etana nirala ki thandi ki raat me .. ...ho rahi thi barsaat,aasmaan se khushiyo ki...tera hato ko u chhu lena maano..baadalo ka pahado ko chhuna..indradhunus bankar aasmaan ka dharati pe aana...kabhi kabhi to lagata hai..mere jeene ki wajah hi tu hai...saanse chalati hai to bas us ek pal se rubaroo hone k liye...etani lambi zindagi nahi...muze to bas wo ek pal chahiye teri baaho ki panaho me apni aakhe band  kr jaanet ki sair karane ka..teri baaho me tinka tinka pighalane ka...wo pal najane q din raat meri aakho me chalata hai...khuli aakho me ab to bas wahi ek sapana palata hai...band aakho me kaid hai wo pal mera...khuli aakho me bhi hai...bas ek sapana tera....bas ab tu hi bata kaise gujarega tera bina zindagi ka har pal mera....jab tu hi nahi to kaise   hoga mere sapano ka aasmaan pura...es jaameen se muze  kuch kahena hai..na muze ab yaha  rahena hai...sitaro se aage us naye jaha me hi pura hoga ye hasin khawab mera...

Saturday, 20 December 2014

Hai ye mausam..barf me jame hamare sapano ka..tere haato ki garmi se..apne khawbo le hakikat me utar ab hum.....

Akele..tanha tanha sa hai ye safar zindagi ka...mausam thandi raato ka... akele hi apne saath tuze le chalate,un yaado ka...kab shuru hoga fir se wo silsila... hamari hasin mulakato ka ....es thandi me tere kande par apna sar rakhkar..saari raat soye hum...na ho ye mulakat khatam..ab ki baar es mulakat me tere sine pe sar rakh k..puri zindagi..es pal me gujar de hum....kaie sapane hai..meri en aakho me ..sardi me chadar aodhe utar le tuze apne dilo jaan me hum....hai ye mausam barf me jame hamare sapano ka....tere haato ki garmi se en khawabo ko hakikat me utar le hum....mausam to aise hi gujar rahe hai....sirf teri yaado me..saavan gujara aise hi..gujar jaayega aise hi sardi ka  ye  mausam.. puri kar de ab to aarju tu mere  dil ki....es mausam k gujarane se pahele..pighle mera ye dil teri baaho me sanam...gujare saari raat tere sirhane baithkar......jab aakhe kholu apni es subah...suraj se pahele..en aakho k saamane bas tum nazar aao...ban k mere humkadam...chale hum saath saath..jiye hum saath saath...ho mere subah sham tere naam se shuru tere naam pe khatam...dur kahi barfile pahado k piche....thandi hawao ki chadar aodhe...ek duje k aagosh me..bhul jaaye es pure  jaha ko ab hum...samay k us paar....es duniya se milo dur.....sitaro k us jaha me banayege..apna ek naya aashiyana hum.....

...

Saturday, 29 November 2014

Tasweer me jaise kaid hoti hai yaade..waise. tere dil k sirhane baith..es waqt ko kaid kar lu mai ab kahi

Samaz n aaye dil kya cahe..kabhi to ye kahani hai do hasin dilo ki magar kabhi hai daasta..do ruthe dilo ki.. aaj jo aakho k saamane nazar aata hai..ye sach hai...ya jo kal sapano me dekha tha.bas wahi ek khawab har din hai mera.....na jaane mere khuda tum chahate kya ho..ek naya badlav..ya aaj chal raha ye mausam zindagi ki raat hai....a khuda meri to bas hai..yahi ek duwa..mausam badale ye adheri kali raato ka..joro ki barsaat ka..safar ho ab shuru mere sapano ki us raat ka..ek haseen mulakat ka...ho ek naya daur shuru..jo hai mere dil me tere khayalat ka...kayamat aaye ab to bas..badale har mod meri zindagi ka...bas ho safar shuru ab hum dono k saath ka.. pighale baadal..barase saawan....tute aasman ...chhute har gali..aur zindagi le chale muze bas ab teri gali....na rok sake..na tok sake koie...ruk jaaye ye waqt yahi...tasweer me jaisi kaid hoti hai yaade..waise tere dil k sirahane baith..es waqt ko kaid kr lu mai ab kahi.aur ban jaye ye waqt..ye pal...mere zindagi ki tasweer nayi....

Monday, 3 November 2014

Kabhi kahi se har chehara tum jaisa lagata hai......tum ko bhul na paayege hum aisa lagata hai

Jeene ki to sirf ek yahi wajah hai..harpal dil me tuz se milane ki jo khawish hai....wo ek pal hi to hai tere saath mere gujare kal ka...jis ki sirf yaado se hi,mere aanewale kal ki har subah roshan hai..es shaher ki galiya badi udaas lagati hai muze..logo k kaafile chalate hai yaha,par koie apna chehara nahi....akeli aur tanha hoti hu mai yaha..teri yaado ko hi le  chalati hu  saath es duniya ki bhid me...us roz achanak se raaste pe tera u takarana..mano bin baadal barasaat ka aana..gujarati to harroz hu mai us gali se....magar aaj hawao me kuch baat thi..raaste k fulo ki khushboo me bhi ajeeb si mahek.....mano raho pe ho rahi sitaro ki zilmil barsaat thi..ek pal k liye hamari duniya tham si gayi waha....bas ek baar.. ha ek baar hume apne gale se to lagate...fir pata chalata tumhe,es dil me tuz se milane ki kitani kashish thi...aarju to tab adhuri rahi es dil ki..jab tum hamara haath chhod us gali se nikal aaye. Aur ek ye hamara pagal dil..tere milane ki tadap me..hum chalati gaadi se takraye..loag kah rah the...bahot khun bah raha hai..jakham bahot gahera hai....kaaash hum duniya ko samaza paate...es jamane ki khatir hi to unhone hume thukaraaya hai...gadi ki shisha nahi dil tuta hai hamara.jakham paiyaro me nahi.dil me huwa hamare.tabhi to ye paagal dil aaj bhi us ki yaad me tadpata hai..aaj bhi un raaho pe har chehare me tuz ko dhundate rahete hai hum... ab to......kahi kahi se har chehara tum jaisa lagata hai.  Tum bhul na paayege hum aisa lagata hai...

Wednesday, 15 October 2014

Kabhi jo sunayi thi hamare pyar ki gazal es samandar kinare tuze .....ab to dhalati sham se hi apna dard baya karana sikh liya maine....

Apni khawisho k saath akele rahena maine sikh liya...udati hawa k saath..pakh fahlaye  nile aasmaan me udana maine sikh liya.... es mausam ko waqt k saath jo badalate dekha maine,.to es badalati hawa k saath, ha es baarish k saath..thandi me chadar odhe...tapati dhup me bhi chalna ab sikh liya maine....harpal me bas dhudati raheti hu us gujare kal ko...es pal k saath...teri yaado me  jeena sikh liya  ab maine...tuz se hi to judi hai mere dil ki har. chahat...meri har khushi.. es dil ki ek tu hi  to hai hasarat....teri chehare  ki hasi ko dekh kar..muskuraana sikh liya maine.....samandar k kinare..dhalate suraj ko khuda maankar...waqt ki tarah fisalati es ret ko ek jagah sajokar..banaya hai maine.. ek mahel hamare sapano ka.. tera entazaar karate karate akele hi...lahero se baate karana sikh liya maine....kabhi jo sunayi thi apni dil ki kaveetaye tuze...aaj es dhalati sham se hi apne dil ka dard  baya karana sikh liya mainne...teri yaad me paagal....jaisi dharati se milane tadpata hai baadal..ab to tuz se juda rahekar.. es tanhaie se bhi pyar karana sikh liya maine.....

Sunday, 12 October 2014

Jab hai adhura ye zindagi ka safar .....to q ae zindagi meri mulakaat maut se nahi hoti.....

Ek chhota sa hi  to khawab tha es dil ka..palbhar ki khushi...ek pal ki hasi..dil ki khubsurati..baato me maza..raato me chand ka baadal k piche se muskurane ka entazaar...harpal ki khushi..har dil me ho hasi...bas etanasa hi to khawab hai mera....kabhi kabhi khuda se puchna lagata hai..aisa kya maag liya hai maine ki duwa kubul hi nahi hoti....chhoti si hasarat..harpal me khushi ki chahat.har chahat hoti  to hai puri... fir bhi na jane q khushi naseeb nahi hoti...harroz,harpal bikhrate hai yaha mere dil k armaan..ek pal k liye bhi dil ki aarju puri q nahi hoti......mannat hi to  maangi hai mere khuda tuz se..jannet ki to chahat bhi es dil me na thi...kaash puri hoti es dil ki duwa..dil me tere siwa..na kisi aur chiz ki chahat thi..na pura ho saka meri chahato ka safar to koie gam nahi..bich safar me hi en raaho ki mulakat tuz se q nahi hoti.. jab adhura hi hai ye zindagi safar..to q ae zindagi........meri mulakat maut se nahi hoti.....
I

Monday, 6 October 2014

Raato ki khamoshi me q rahe gaya ye dil tanha mera...

Raato ki khamoshi me..tanha hai ye dil mera....sapano ki udan liye tuz tak pahochna chahata hai ye dil mera...raat ka ye manzar to dekho..khubsoorat hai ye raat..ho rahi hai sitaro ki barsaat..fir bhi akela hai ye dil mera..sabkuch to hai yaha..bas tera saath na mila..akele es takiyo ko lipatakar kab tak tanha roye hum....ek din to wo aaye..jab tere kaandhe pe sar rakh k saari raat gujare hum...jee bhar k roye hum..teri mohobbat me aasu bahate mere dil k aasu,nahi hai kisi garjate baadal se  kam...tufan..jo laya hai hawao ne ruk jaayega kuch waqt k baad...par kaise rok paayege hum dil hi dil me..teri yaado ka sailab..tere ..sab kuch to hai yaha..resham si chadar..sitaro ka aasman hawao ka mahekana...hawa ka khidkhiyo se dastak dena.fir kya nahi jo nind muze aati nahi.....to bas jawab aaya es dil se...ek tu hi to nahi ..jis wajah se ye mausam muze acha lagata hai...ek tu hi to nahi..jis wajah se en sab k saath jeena muze lagata hai...tu hai to kya sitare..kya nazare....sab kuch kurbaan hai tereliye...bas tu...aur tu hi..na koie..chand na ye sitare..na ye suhana mausam..na ye nazare.... kuch bhi nahi es dil ki chahat....siway tumhare..

Sunday, 5 October 2014

Us ek din k liye..sajoya hai meri aakho ne sapana sirf tereliye

Teri saanso se hi to rishta hai meri dhadakano ka..ha ek din,bas wo ek din mil jaaye..to tere saath apni puri zindagi us ek din k liye udhar mang lenge hum...ha ek din bas wo ek din mil jaaye to us ek din me tere liye hazar khushiya mang lenge hum...mile to sahi ek din tu muze to harpal me apni puri duniya jee lenge hum..hazar pal..hazar khushiya..kurbaan hai tere saath es zindagi ka ek pal bitane k liye...maut ko gale lagana bhi manzoor hai muze agar us ek din me teri baaho ki panah mile...wo ek din aaye to sahi..har dard...har taklif..ko gale lagana kubool hai muze..
Teri baaho me khud ko bhul baithe mere es pagal dil k liye..ab to manga hai har pal khuda se maine..bas tere saath aanewale naye din k liye..ha us ek din k liye.......jo sajoya meri aakho ne,apne sapano me bas tereliye...

Wednesday, 1 October 2014

Pagal mann mera jo hardam khoya khoya raheta hai...poonam k pure chand me bas tera chehara dhunda hai..

Mann...chanchal mann..badalo se atkheliya karata. Sitaro me apna aashiya dhundata..mann sapano ki uchi udan bharata..mera mann kabhi tanha raheta, to kabhi khushi se zoom uthata,mann kaie sapane bunata..apne armaan pure n honepar..yuhi hasata,mann sapano ki dagar se gujarkar mere dil tak pahochata..najane q waha bas tere entazaar me harpal rota.kabhi chhoti si baat ko lekar aise hi tut jaata..to kabhi bade se bade tufan me..mera hausala badhata,mera mann kabhi bas apni khawisho k liyw jeeta..apne hi armaano me najane q harpal duba raheta..wo kaie sapane dekhta hai..tute khawbo se bhi..judane ki ummid rakhta hai..
Wo harwaqt use dhundata hai..na milane par bas aasu bahata hai..ye aasu dil ki tadap baya karate,us ki dhadkan ko dil se milaneka wada karate..kabhi titaliyo ki tarah chanchal..ye mann..es ful se us ful par apne rang bikherata hai..hai ye paagal mann mera jo hardam khoya khoya raheta hai..tere k aane k enzaar me..punam k pure chand me bas tera chehara dhundata hai..

Friday, 26 September 2014

Teri yaad me khud ko bhuli huie..meri dil ki har yaad..yahi to mere zindagani ka dusara naam hai

Sawal jo kiya maine apne aap se ek roz ki.....khushi  me bhi aakho se aasu bahene ki wajah kya hai...dard me rote rote fir ek baar muskurane ki wajah kya hai..to bas ek aawaz aaie es dil se....dil k kamare me kaid teri tasweer hi mere har dard ki dawa hai...har dard aur taklif me hota hai tera saaya mere sar pe ..lagata hai khuda se tune maagi, mere hasi ki duwa hai..tere dur hote huye bhi..aas paas, har taraf,har jare jare me...tere kadamo k nishan hai.....hawao me aaj bhi...us gujare kal ki khushboo..raato me aaj bhi tere saath gujare har lamhe ki mithi yaado ka sapana..bas lagata hai..tu na sahi....teri yaad me khud ko bhuli huie..mere dil ki har yaad..yahi to mere jeene ka ek  naam hai

Thursday, 25 September 2014

Bas ek tu mil jaaye to es khuda ki tasweer ko tarash kar.us pathar ki murat ko bhi..tera naam dene ka erada hai mera

Waise to koie aarju nahi..na koie armaan mera..par patta nahi ek tere saath hone se kya ho jata hai muze jameen pe chalati hu..par fir  bhi adhura hota ye mann ka aasman mera...koie aisi chahat nahi thi kabhi, ki hakikat me ho koie sapana pura..bas ek khayal aur khayal tha harwaqt dil me tera..sapano ko mil jaayegi manzil...raato me khubsoorat sitaro ki  zilmil..kabhi na laga raato me chhipa hoga,mere jiwan ka savera..baat to tab thi jin raaho se akele chalane me dar lagata hai muze..aaj usi raaste par dur khade nazar aata hai muze chehara tera...dil samaza hi nahi..aakhir us ki chahat kya hai..aarju tuze paane ki..ya khud ko bhulkar tuz me khoye rahene ka armaan tha mera..kabhi to lagata hai  mukdar me likha tha,fir ek baar milana tera..meri saanso ko tuz se jodkar ..har raaste ko piche chhodar tere naam se apni pahechan banane ka shayad dil ka erada tha mera..mera ye dil sunata q nahi..teri yaado se dur akela raheta q nahi...ab to lagata hai..bas teri yaado ki doli me baithkar rab k darwaje kholane ka armaan hai mera..tu mil jaaye to es  khuda ki tasweer ko tarash kar..us pathar ki murat ko bhi tera naam dene ka.... erada hai mera....

Wednesday, 17 September 2014

Un k liye sajoye hai apne saare sapane...par hamari kismat to dekho zindagi sapane mebhi hamara saatg nahi deti

Sirf un k liye zindagi k saare sapane sojoye hai. Par hamari kismat to dekho...zindagi sapne me bhi hamara saath nahi deti...milate to hai sapano me ek dusare se..par hote hai juda pal bhar me..kahena to hai bahot kuch un se..par labj bhi hamara saath nahi dete...nazare zukaye khade un k saamane hum...aakho ki koshish hamare un ki aakho me apni tasweer dekh ne ki...ek zalak un ki aur dekhni ki tamnna hai..par  kya bataye  ye nazare bhi  hamara saath nahi deti...chahate to hai ,bas un k hi kareeb rahe harpal hamesha..par kya kare ab to hamari chahat bhi hamara saath nahi deti..

Thursday, 11 September 2014

Es zamane k daayaro ne muze tuz se milane se rok rakha hai..esliye to hum ne teri yaad ko apne dil k daayare me kaid kar k rakha hai

Mere dil ki aarju to dekho...dil me bas ek hi tamnna hai tuze paane ki..
Dil hi dil me to harpal saath hai tu mere..bas aarju hai tuze mil k jee bhar k rone ki...mumkin ho to hawa bankar chhu jaao tere dil ki galiyo ko...mumkin ho to ye pal bankar..tere aanewale kal me thehar jaao mai tere saanso ki khushboo bankar..mera mann to bas ye chahe..ki harlamha to hi to...har jare me bas tu nazar aaye..mumkin ho to tere ghar ka suna aagan ban jaao..kam se kam ghar aate jaate to, chhu lenge tere kadam muze har baar...mumki ho to tere saath chalata raasta ban jaao..kam se kam es bahane to saath chalege hum har baar... mumkin ho to tere sar tale ka mai takiya ban jaao..kam se kam es bahane to tuze apni godi me sula paaye hum ek baar..mumkin ho tere ghar ka aaiena ban jaao..kam se kam khud ko dekhne k hi bahane..tu ek zalak..dekh to le hume..ek baar..jamane ne banaye hai pahere hazaar..es zamane k daayaro ne muze tuz se milane se rok rakha hai..esliye to maine  teri yaad ko apne dil k daayare me kaid kar k rakha hai...

Friday, 29 August 2014

Tu baaho me bhar le muze kuch es tarah..jaise barasati barasaat me dharati ko chhuta hai ye aasmaan saara

Kaisi ummid hai es dil ki..dil sambhalata hai to bas us ki baaho me..bhid me akela ho jata hai ye mann mera...khamosh,udas palke bichaye bas entazaar karati hu tera...es dil ko mai samazao kaise..mann ka pachi udas baitha hai..dil me tuz se milane ki aas le baitha hai...ghar ka  ye khali kamara..pijara bankar mere mann ko kaid kar k baitha hai..tu aaye khole ek baar es ghar ka darwaja to pachi bankar ud chalu mai tere sang puri duniya ki sair karane....ab to lagata hai....bas ho khula aasma...baheti nadi ka shor..pahado ko chhute ghane kale baadal...dhalati ho sham jaise..chipata ho suraj pahodo k piche jaise.....sham simat jaye raat ki baaho me..chand so jaye kale badalo k aagosh me...pakh failaye apne mai dekhu jee bhar k nazara..aur pal me barasati barasaat k sang..bhigo de ye badal dharati ka aachal saara..hum dono chhip jaaye us ped par base ghosale me...aur tu baho me bhar le muze thik usi tarah... jaise dharati ko chhuta hai ye aasmaan saara.....

Monday, 25 August 2014

Thame rah tu muze kuch es tarah...jab tak teri baho me soye..khatam nahi hote..dil me kaid ye aasu mere

Tere khayalo se hi shuru hota hai din mera..tere hi khayalo se hi gujarati hai meri raate...jee to karata hai waqt se aage jaa k kahi...es waqt me apne saath baadh lu tuze....hota hai mann ye khali khali mera es ghar me....teri  muskurati huie tasweer se bhar du ye khali kamara..koie na rok paaye teri tasweer ko gale lagane se muze...waqt k pahero se chura laao mai tuze apne paas...nind aaye to bas teri baaho  me har raat...aakh khule subah k suraj k saath..to bas mere sar pe ho tera hath...sine pe sar rakh k tere.. jee bhar k ro le jara ab hum...aur yuhi gujar jaaye din aur raat..khamoahi si hoti hai tere mere darmiya...baat to yahi thi jo sadiyo se muze kaheni thi...ki TERE SAATH GUJARATE ES CHHOTE SE PAL ME HI SADIYO SE MUZE RAHENA THA.. ESI TARAH HARROZ TERI BAHO ME PIGHLANA THA.. jab waqt aaya to ye khamoshi hai tere mere darmiya..par ye khamosh nazare hi to sadiyo purane mere es dil ka haal kar rahi hai baya...bas ab to tu hi hai aas paas..erad gird...subah sham..raat aur din..khawab khayalo me mere...tu es waqt ko kah de..na jaaaye wo es pal se aage kahi muz se...kaid kar le tu apni baaho me muze....jab tak teri baaho me  soye..khatam nahi hote dil me kaid ye aasu mere....

Tuesday, 19 August 2014

Aaja tu zindagi bankar,mere saamane zara..meri to aarju hai maut se ladhkar tere sang jeene ki

Aarju q thi es dil me aaj bhi tuz se milane ki..samay..waqt..har..daayare,pahero se dur,nile aasman me chand sitaro k bich ghar basane ki...chand ka takiya banakar..suraj ki roshni se es ghar k aagan ko sajane ki...barasati  baarish me baadalo ka hawaie jahaj banakar pure duniya me sair karane ki..khawish to hai meri es baarish k sang..har pate pate,har daali daali hawao sang zumane ki..dil to chahata hai har baar tu aaye bhawara bankar..chhume mere mann k kamal ko..aur mai kaid kar k rakh lu sada..tuze es dil ki pakhudiyo me.. meri to khawish hai fool bankar...es bhavare ka entazaar karane ki..bas ban ja tu diya mere ghar k mandeer ka..meri to aarju hai..tuz sang baati bankar jalane ki.. ban ja tu roshan savera mera.meri to aarju hai..har subah aakhe khulate hi tuze dekhne ki..ban ja tu mere sapano ka mahel jara meri to khawish hai raato me tere dil k mahel me sone ki..aaja tu zindagi bankar mere saamane jara ..meri to aarju hai maut se ladhkar fir ek baar tere sang jeene ki...

Sunday, 17 August 2014

Dard bhulane ki koshosh me toda jo aaiena...to tukado me bat gaye mere gam hazaar

Saath hokar bhi saath nahi tu mere...tanha akele gujarate hai ab to sham savere...nazare meri yuhi dhundati rahi  teri aakho me pyar mera...kaisa faisala hai zindgi ka..tere saath hone par bhi es ghar me sanata sa hai...hai bas khamoshiya hum dono k darmiya...akele hi gujaar rahi hu zindagi ka ye safar..kitani hai tanhaie yaha...jab thama tha haath saath nibhane k liye mera fir q har mushkil me akeli hi muze chalana tha....kiye the jo waade hazar fir q akele hi takiyo ko gale lagaye muze rona tha...ruth gayi hai ab to ye raate bhi muz se..tute hai sapane...ruth gayi hai ab to meri ye nind bhi muz se..jab khuli aakho se dekha aaiene me maine apni hi tasweer ko...yakin na aaya khud ko khud par hi... kya yahi wo aaiene me meri parchaie hai..jaha kabhi chehare pe kaliyo si muskaan thi...dil me khushi..aakho ko harpal tera entazaar...ab to barsati hai baarish meri aakho se..dard hai dil me.. tune tohafe me jo diye hai muze jakham hazar..apne haatho se kiye maine shishe k ye tukade hazaar..taki es dard bhare chehare ko bhula paao..par..ab to har tukade me bat gaye hai...mere ye gam hazaar..chubhan si hoti hai dil me lagata hai ab to aakhe band karu apni..zindagi se jyada jo..ho gaya hai muze maut se pyar

Saturday, 16 August 2014

Agar hai bas tu ek khwab mera...to koie na jaga paaye muze khayalo se tere

Tu hi to hai khayalo me mere...mere khwasho se aage..duwao me mere. Tu hi to hai har khawab me mere..ek pal aisa nahi jo tera khayal es dil me nahi..waise to tu harpal saath hai mere..par hoti hai tuz se har mulakat meri..bas sapano me mere..ek pal k liye bhi jab tera khayal mere dil se juda nahi...fir q hakikat me hum saath nahi..kabhi to khayalo se nikalkar..hakikat me saamane aaye tu mere..mumkin nahi hai agar tera meri zindagi me aana..to duwa hai khuda se..mai to bas harpal rAhu.,khayalo me hi tere..na zindagi ki fikar ho..na ho hakikat se mera aamana saamana..yuhi gaheri nind me so jaao hameha hamesha k liye...na koie jaga paaye muze... khayalo se tere..

Saturday, 9 August 2014

Nile aasmaan ki makhmali chadar aodhe..jab hote hai wo saath..to chand sitaro ki baarish hoti hai

Loag kahete hai paisa ho to khushi  darwaaje pe datak deti hai..par hum to kahete hai..pyar ho to khushi ghar se jaati hi nahi...makhmali chadar sar pe aodhe ho to nind aati hai..magar nind to tab aati hai jab un ka pyarbyara haath hamare sar par hota hai..hath me haath liye..nile aasmaan ki makhamali chadar aodhe jab hote hai wo saath to sitaro ki baarish hoti hai... ek ek sitare ko kaid kar lenge ab hum apne dil me un ki yaad samazkar....sote hai ab to gale lagakar us chand ko  hum..unhone bheja ho jaise ,ye pyar ka tohafa hamare liye,ye baat jaankar....ye kahani sunkar  suraj bhi aaya mohobbat ki roshni lekar... yahi to wo  wajah hai..saagar hai mere mann ka... jo tu hai harpal paas mere,es waqt ki tarah saath mere..  ye tere pyar ka  hi to asar hai...jo meri duwa kubool ho gaie...es sitaro ki baarish me..suraj ki roshnni lekar....dekho khuda bhi hume dekh rahe hai..saptrangi indradhanush bankar..

Thursday, 7 August 2014

Suraj k jaane se pahele ...chand k aane se pahele dhalati sham me hi..kaid kar lenge tuze hum

Aakho se girate mere ashko ko enzaar hai tera..tu khushi hai ya sukun nahi jaanati mai..par mere dil pe hai aaj bhi bas teri yado ka pahera.chaha hai tuze gujare kal se maine apne aaj tak...aanewaale kal me  bhi tu hi hai..mere zindagi ka khubsoorat chehara... aisa q hai zindagi me, hum bas yaado me hi milate ek dusare k..khayalo me hi bunate hai tasweere..ek duje ki..hakikat me aaye tu ek baar saamane..gujare ye zindagi tere haatho me apna hath dekar..mausam badalate rahete hai yaha..kabhi baarish hoti hai to kabhi..tapati dhoop..kabhi sardi ka mausam..har pal me ..har waqt badalate raheta hai ye jaha..mausam badale..raate badali..ye din badale...kabhi to mere zindagi me bemausam bas aaye ek baar tu.. kahi jaaye na palbhar k liye bhi  tu muz se dur..bas aisa pal aaye kabhi...ek pal k liye bhi kabhi dur na jaane denge tuze...hum se kahi.. Raato me sitara bankar kaid kar lenge tuze...din me roshni..bankar,apne saath hi le chalege tuze..baarish me baadal bankar hi saath rahege tere..thandi me apne dil k khali kamare mai kaid kar lenge tuze..bas tu aaye to ek baar.. din ho ya raat kahi na jaane denge tuze....ab din aur raat k darmiya..hamari baho k darmiya, ..suraj k jaane se pahele..chand k aane se pahele.. dhalati sham me hi...baadalo me kaid  kar  rakh lenge saath tuze hum..ha  ab kabhi bhi dur na jaane denge tuze.. kisi  bhi pal k liye hum se ab dur hum...

Wednesday, 6 August 2014

Meri har duwa me...teri khushi shamil

Tere liye khushi ki mannat mangi hai..khuda se tere liye maine jannet mangi hai...duniya kaheti hai..ishq me loag deewane ho jaate hai..kaise bataye hum haal apne dil ka...hum to apne zindagi ka har pal un k saath jeena chahate hai...chahat hai meri..har khawish ho un ki puri..dil se dil ki na rahe ab duri..nihare bas surat hum un ki. Aur duniya khamosh ho saari...ab  kya mangu apni duwao me rab se mere....tu dekhe sham saher bas muze.aur zuk jaaye ye nazare hamari....shikayat teri aakho se nahi..apne dil se hai muze...kah paao tuz se kuch...kabhi to en aakho se mai..aur dekhte rahe ye duniya saari..kam se kam aaj to kuch kah ne de muze..warana mere labj bhi nahi sunate baat ye meri...ye kahena chahe tuze kuch.. ladakhada jaati hai ye juba hamari...bas kah du..es pal tuz se yahi...tu hi zindagi..khushi hai mere dil ki..tu duwa..tu hasi mere hoto ki..tu khamoshi..tu hi khawish mere paagal dil ki...aakho ne apni nazaro se..juba  ne apne labjo se..mere dil se tere dil ko sandesa bheja hai ki..ab to tuz se judi hai..es zindagi ki ummid meri...tu kah to tere liye chhod du ye duniya saari..kabhi to kubul ho ye duwa meri..aur teri saath hi gujare ye zindagi meri...

Wednesday, 30 July 2014

A khuda....un k kandhe par sar rakh k maut ko gale laga sake..tu aisi gaheri nind hume de de

Kaash hum us gujare kal ko apni hatheliyo me kaid kar paate,apne aaj ko us kal se jod paate..jarurat nahi wo zindagi hai hamari...jeete ji ye baat unhe samaza paate...khoye rahete hai aaj bhi hum un k khayalo me..bite kal ki yaad me...siitaro bhari us raat me..kaise ye yakin dilaye unhe..raato me bhi bas aate hai un k sapane..ab to roshan subah ka nahi..sitarobhari raat ka entazaar raheta hai hume..kam se kam esi bahane hamari raato ki nindo me wo khwab bankar aate hai... bas sapano me hi milana mumkin hai un se..a mere khuda mai jaanati hu.wo es din k ujalo ki hakikat nahi..to ye raat hume de de..kabhi na kholana chahe apni ye  aakhe hum un k bina..un k kandhe par sar rakh k maut ko gale laga sake..tu aisi gaheri nind hume de de......

Monday, 28 July 2014

Jalana nahi ab teri bina..maut ki baaho me sokar safar karana hai pura jannet ka

Fasala tha hum dono me sirf do kadam ka...kaash chal diye hote hum wo kadam teri aur.. to pura ho jaata safar hum dono ki manzil ka..yaad hai muze wo paheli mulakaat kahena to muze bahot kuch...kaash dekh paate teri aur ek zalak aur kar paate ezahaar apni mohobbat ka,lekin tab bhi fasala tha hamare aakho se teri aur dekh paati hamari ek nazar ka...kaash hum kuch kah paate..wo kadam teri aur chal paate..to na gujarata ye tanha safar zindagi ka..aakhir kaar tum ne hi kiya ezahaar apni mohobbat ka..apna haath jab tum ne badhaya hamari aur to kash hum bhi apna haath badha paate..duniya ki fikar chhod tumhe apne dil ka haal baya kar paate..hamari majburi to dekho tab bhi hume bas khayal tha majahab k naam par khadi deewaro ka..wo din aaya jab es shaher ko chhodkar...tum jaa rahe the dur kahi hum se u muh modkar..jee kiya rok le tumhe..es duniya ki saari deeware todkar..es shaher ki galiya chhodkar..kaash hum wo kadam chal paate...tumhe kuch kah paate..tere chalate kadamo ko rok paate..tere aachal  me sar rakh kar jee bhar k ro paate..tuze apni aakho se es dil ka dard baya kar paate..ki ab jeena nahi hum me..jalana nahi hume teri bina..bas marana hai tere sang,bhale hi na chal paaye ab hum wo do kadam, kam se kam waha to hum sukun se teri baaho me so paate.....

Sunday, 27 July 2014

Dur chale hum waqt se aage kahi..khawisho k saagar mere..

Kaie loag saath hai mere par mere dil me sirf tuz se milane ki khawish hai...hire moti nahi..duniya ki puri daulat nahi..bas ho ek tera saath yahi meri es zindagi se gujarish hai..kaisi ye raahe hai hamari...tanha,bejan,ek dusare se alag...saath to chalate hai hum humraahi bankar...lekin us nadi k kinaro ki tarah..manzil to ek hai hamari magar kabhi ek nahi ho sakate...dur khade aakho me aasu liye nihar to sakate hai ek duje ko....magar tere kandh
e par sar rakh k  ye dard e dil ka dariya baha nahi sakate..jab dhadkan ek hai hamari to fir q es dil ka do tukado me batkar ek dusare se juda hona likha hai...kabhi to ye kismat meri karwat badale...waqt badale apna andaaz aur hum fir ek baar mandir ki sidhiyo phar usi dhalati sham k saath..dubate suraj k saath..haato me haat daale kasam le kabhi na juda hone ki..na ab dur rahene ki..us mandir k raadha sham ki tarah saath rahene ki..ab samay ruk jaaye hamare liye..usi pal me sada..aur hum sadiyo tak yuhi khade rahe saath ek duje k..us mandir ki deewaro ki tarah..be entaha pyar karate heer raanze ki tarah..pyar ki khubsoorat daasta apne dil me simatkar khade us taaz ki tarah..hamare mohobbat k likhe aanewaale naye kal k etihaas ki tarah..

Wednesday, 23 July 2014

Mere mann ki deewaro ko tod...tu ruh me utar jaaye kahi..to kya baat ho...

Chalate raasto me to kaie loag milate hai yaha..lekin us bhid me wo bewaqt takara jaaye to kya baat ho...har subah suraj ki roshni,dastak deti hai es ghar ki dehliz se.. ghar k khali kamare ko..ek pal wo bhi aaye jab tu khatkhataye..es dil ka darwaaja..aur mile roshni  mere sune mann ko.. ye baarish to roz barasati hai..ped paudho sang lehraati huie,rimzim barasati baarish me fisalate hamare payaro ko tu tham le kahi..to ye baarish bhi kayamat ho...zoro ki hawa chalati hai,thandi  hawa k saath laheraata ye aachal tere haatho me aakar ruk jaaye to kya baat ho..chalati hu tanha akele es rimzim barasati barsaat me..hawa k es zoke k saath na mera ye aachal sambhalata hai..na ye chhata ..aur na ye paagal dil...bas zoro ki baarish me..garajate baadalo me..tez hawa k es zoke me ye chhata ud tere sirhaane ruk jaaye to kya baat ho..ye baarish to sirf tann ko chhuti hai..mere mann ki deewaro ko tod..tu es ruh me utar jaaye to kya baat ho..mannat  meri yahi khuda se..tu es kadar saamane aaye mere aur hum tuz se lipat jaaye..es rimzim baarish me ...ho ye khawabo se hasin mulakaat..to en aakho me khushi ki barsaat ho......

Monday, 21 July 2014

Kabhi to padh le tu nigahe hamari to hamare labjo ko mile dil ki gazal tumhari

Gujare huye kal ko bhulkar apne aaj me jeena bahot khoob aata hai unhe...kaise hum unhe ye samazaye..ki hum to gujare kal ki us yaad me hi khud ko bhul aaye..hume bhi jeena sikha de tu es pal me..kya pata.teri yaado k hi bahane hamare chehare pe muskaan to aaye..khamoshi hoti hai juban par mere..kaie sawal..kaie jawab mere....teri kahi baato me hi ab to gujarate hai mere sham savere...bekarari tuze nahi hum me jyada hai..tuze apna darde a dil baya karane ki.es dil ki khamoshi se tuze har baat kahene ki..kabhi to padh le tu nigahe hamari.. to hamare labjo ko mile dil ki gazal tumhari..tere aane si hi to roshan hai mere dil ka ye khali kona..jaisi barasati barsaat me dharati ka hariyaali ki chadar aodh sona..baadalo ka pahado ko chhuna..nadi ki har bund ka saagar me samana..raasto ka manzil se milana..mere nayano k baadal ka teri baaho ki  panao me baarish bankar rona..

Tera aas paas hona jaise khuda ka mere aas paas hona

Tera aas paas mere hona jaise hawao me khushboo hona..nasha sa tha teri baato me,teri aakho me..madhosh ho jaati hu mai teri en adaao me, junoon sa sawar  raheta hai..mere dil pe,jab tu saath hota hai,na waqt ki fikar,na samay baadh sakata hai muze apni baajuo me,tu takdir hai meri...en aakho me,dil me hi nahi..ab to meri haato ki lakiro bhi sajayi hai maine tasweer teri...kaisa ye waada hai jo kabhi tune kiya nahi muz se..lekin fir bhi q harpal saath nibhaya hai..kuch maanga nahi kabhi muz se fir bhi harroz pyar ka saawan barsaaya hai..ansuni  ankahi si ek kahani si hoti hai teri aakho me muze dekhkar.lekin kaise tuze batao teri dil ki khamoshiyo ko mere es paagal dil ne harroz padha hai..tera to bas ek baar muze ek zalak dekhna kaafi tha..mere liye to wo pal hi ek zalak khuda ka muze dekh muskuraana hai..

Saturday, 19 July 2014

Waqt ka tuze u..muz se dur le jaana gavara nahi muze..

Tera u aana,aakar pal bhar me dur jaana.. gavara nahi muze tera es kadar u chale jaana..q hota hai aisa jab manzil meri tere kadamo me hai..fir q tera meri raaho se dur chale jaana gavara nahi muze...kitani der..aur kitani der...mai bas sajaye rakhu ye armaan apne dil me..dil mera harroz tutata hai jab tera haath kisi aur k hatho me hota hai..ye jaankar bhi ki n tu mera hai na teri parchhaie..fir bhi n jaane q teri har yaad me meri aakh bhar aaie...gujare huye kal ki yaad me tanha rona gavara nahi muze..tere aane k entazaar me har sham aakho se bunde aana gavara nahi muze...tu kahe to mai waqt ka rukh mod du..us kal me..par tera es pal me saath na hona gavara nahi muze..tune to sirf ek pal  ki baat ki hai..lekin tera ek lamhe k liye dur jaana gavara nahi muze...laut tu  aaja bas ab mere dil ki galiyo me..to kaid kr lenge tuze es dil k aaiene me..q ki ek pal k liye bhi..tera meri dhadkano se dur jaana gavara nahi muze....

Le chal muze ab tu..zindagi aur maut se aage kahi

Aisa q hota hai...tere bina harpal adhura raheta hai...tu hai to lagata hai,ye aasmaan bhi mere saath chalata hai...fijao me rangat hoti hai..laheraati hawao  se fulo ki khushboo aati hai.. ye bejaan,viran raate,suni wo raahe..tere saath hone se q badal jaati hai......tu saath hai to lagata en suni raaho ko to bas tera entazaar tha....aakhe lagaye baithi thi ye raahe bhi tere entazar me..ab to lagata hai ye safar kabhi khatam n ho..hum yuhi chalate rahe ek dusare ka haat thame..es raaste ki koie manzil na ho..manzil kaha maangi hai maine..bas tera saath maanga..ab to ye raasta hi meri manzil hai..dur kahi waqt se aage..duniya k daayaro k aage..es mulkh ki seemao k aage..samandar ki lahero k us paar..chand sitaro se aage..chal dhunde apni hum manzil koie..na waqt kare hume ek duje se juda..na ye zindagi...q na saath chale ab hum zindagi aur maut se aage kahi..

Thursday, 17 July 2014

Sapano me tay kiya hai maine..hamari mulakato ka safar..

Ye es mausam ki barsaat..suhane kal ka aaj fir ek baar hai muze entazaar..khawisho k aasmaan me umange hai kaie..tu mil jaaye to mile muze duniya naie...bas fir se wo raat aaye sitaro waali...chand muskuraye fir ek baar..hotho pe tere muskaan aaye..fir ek baar wahi...kaisi hogi wo mulaakat aaj bhi bekhabar..anjaan mai es baat se...bekarari utani hi hai dil me..jitani sadiyo se hai..en aasmaan k sitaro ko hi to sunaya hai apne dil ka haal maine,har raat.ye zilmilate sitare gavah hai es baat k ki jitana entazaar es raat ko hai subah se milane ka..us jyada entazaar mere es paagal dil ko hai...teri aakho me dub jaane ka..lamhe ye suhane jo mahez ek khayal hai mereliye..bas tu mere dil me uthe sawalo ka jawab ban k aaye mere liye..es saawan ki paheli baarish ban k aaye tu mereliye....sapatrangi endradhanush ban k aaye tu mere liye. Titliyo k rang..es mausam k sang..paheli baarish ki fuhar..barasate tere nayano ne kiya ho mohobbat ka ezhaar...tu es baarish me zumati fulo ki khushboo bankar laaye mereliye..tu es mausam ki miti ki mahek lekar aaye mere liye. Fir chahe to ye baariah apna rukh mod de..par tu ye pyar ka saawan le k barase sirf mereliye....

Monday, 14 July 2014

Tu aaja kahi mere khawabo se pahele jara..meri khawisho se pahele jara

Tere aane ka hi to entazaar hota hai muze har lamha,ye baat aur hai tuze fikr nahi meri...saawan k baadalo ko roke rakha hai maine...ki aaj nahi,kal nahi,bas tere aane k baad barsana...fir to dikha denge es baadal ko, kashish es baadal me jyada hai..dharati ko lipat k rone ki...ya hume  me tuze simatkar aasuo ka dariya baha dene ki..tu aaye to sahi,hamare galiyo me..es baar dil me kaid kar k hamare ..na jaane denge tuze dur hum se kahi....raasta jo chahe ro k hamara...ab to hume kisi ki parwaah nahi.... hamare khayalo...se nikalkar bas aa jaao hakikat me kahi...waada kiye dete hai.hamare sapano se bhi dur kabhi jaane na denge tumhe kahi...bas yahi aarju hai mere dil k armaan....udati hawa se pahele..es mausam ki baarish se pahele..mere mann ki lahero se pahele..mere raato k sapano se pahele..mere dil k tere aanewaale khayal se pahele.....tu aaja meri har duwa se pahele...mere aakhe band hone se pahele...mere nayano k ashko se pahele..

Friday, 11 July 2014

Tere dil ki galiya..kabhi to mere dil k khali kamare tak pahoch paaye

Udane ka to mann aaj bhi karata hai..panchiyo ki tarah tere sang....mera.lagata hai ab to thandi hawa bankar..chhulu..tere shaher k aasmaan ko,en baadalo ko,aur baarish bankar tere chehare se aakho me utar jaao..gahera saagar bankar... chhu jaao tere dil ki galiyo ko.mere dil k armaan..tum  es sawan se kuch kahete q nahi...bas barase ye tere pyar ka rang lekar..dharati odhe dhani chunariya..aur tu aaye mere saamane..khuli aakho ka sapana bankar..mahek un fulo ki bankar,khushboo en hawao ki lekar..aur utar jaaye mere dil me..es paagal dil ki aarju bankar...ab to dil yahi sapana liye es khali aasmaan ko dekhta hai..ki..kabhi to kaali ghata chhaye..baadal bunde barsaaye..aur barsati es tanha barasaat me..kabhi to hum ek dusare se takraaye..tere dil ki galiya..us roz shayad mere dil k khali kamare ko fulo se saja paaye..aur hum dono k mohobbat ki daasta..har gali ka aagan mahekaaye..