Jeene ki to sirf ek yahi wajah hai..harpal dil me tuz se milane ki jo khawish hai....wo ek pal hi to hai tere saath mere gujare kal ka...jis ki sirf yaado se hi,mere aanewale kal ki har subah roshan hai..es shaher ki galiya badi udaas lagati hai muze..logo k kaafile chalate hai yaha,par koie apna chehara nahi....akeli aur tanha hoti hu mai yaha..teri yaado ko hi le chalati hu saath es duniya ki bhid me...us roz achanak se raaste pe tera u takarana..mano bin baadal barasaat ka aana..gujarati to harroz hu mai us gali se....magar aaj hawao me kuch baat thi..raaste k fulo ki khushboo me bhi ajeeb si mahek.....mano raho pe ho rahi sitaro ki zilmil barsaat thi..ek pal k liye hamari duniya tham si gayi waha....bas ek baar.. ha ek baar hume apne gale se to lagate...fir pata chalata tumhe,es dil me tuz se milane ki kitani kashish thi...aarju to tab adhuri rahi es dil ki..jab tum hamara haath chhod us gali se nikal aaye. Aur ek ye hamara pagal dil..tere milane ki tadap me..hum chalati gaadi se takraye..loag kah rah the...bahot khun bah raha hai..jakham bahot gahera hai....kaaash hum duniya ko samaza paate...es jamane ki khatir hi to unhone hume thukaraaya hai...gadi ki shisha nahi dil tuta hai hamara.jakham paiyaro me nahi.dil me huwa hamare.tabhi to ye paagal dil aaj bhi us ki yaad me tadpata hai..aaj bhi un raaho pe har chehare me tuz ko dhundate rahete hai hum... ab to......kahi kahi se har chehara tum jaisa lagata hai. Tum bhul na paayege hum aisa lagata hai...
No comments:
Post a Comment