Gujare huye kal ko bhulkar apne aaj me jeena bahot khoob aata hai unhe...kaise hum unhe ye samazaye..ki hum to gujare kal ki us yaad me hi khud ko bhul aaye..hume bhi jeena sikha de tu es pal me..kya pata.teri yaado k hi bahane hamare chehare pe muskaan to aaye..khamoshi hoti hai juban par mere..kaie sawal..kaie jawab mere....teri kahi baato me hi ab to gujarate hai mere sham savere...bekarari tuze nahi hum me jyada hai..tuze apna darde a dil baya karane ki.es dil ki khamoshi se tuze har baat kahene ki..kabhi to padh le tu nigahe hamari.. to hamare labjo ko mile dil ki gazal tumhari..tere aane si hi to roshan hai mere dil ka ye khali kona..jaisi barasati barsaat me dharati ka hariyaali ki chadar aodh sona..baadalo ka pahado ko chhuna..nadi ki har bund ka saagar me samana..raasto ka manzil se milana..mere nayano k baadal ka teri baaho ki panao me baarish bankar rona..
No comments:
Post a Comment