Sunday, 27 July 2014

Dur chale hum waqt se aage kahi..khawisho k saagar mere..

Kaie loag saath hai mere par mere dil me sirf tuz se milane ki khawish hai...hire moti nahi..duniya ki puri daulat nahi..bas ho ek tera saath yahi meri es zindagi se gujarish hai..kaisi ye raahe hai hamari...tanha,bejan,ek dusare se alag...saath to chalate hai hum humraahi bankar...lekin us nadi k kinaro ki tarah..manzil to ek hai hamari magar kabhi ek nahi ho sakate...dur khade aakho me aasu liye nihar to sakate hai ek duje ko....magar tere kandh
e par sar rakh k  ye dard e dil ka dariya baha nahi sakate..jab dhadkan ek hai hamari to fir q es dil ka do tukado me batkar ek dusare se juda hona likha hai...kabhi to ye kismat meri karwat badale...waqt badale apna andaaz aur hum fir ek baar mandir ki sidhiyo phar usi dhalati sham k saath..dubate suraj k saath..haato me haat daale kasam le kabhi na juda hone ki..na ab dur rahene ki..us mandir k raadha sham ki tarah saath rahene ki..ab samay ruk jaaye hamare liye..usi pal me sada..aur hum sadiyo tak yuhi khade rahe saath ek duje k..us mandir ki deewaro ki tarah..be entaha pyar karate heer raanze ki tarah..pyar ki khubsoorat daasta apne dil me simatkar khade us taaz ki tarah..hamare mohobbat k likhe aanewaale naye kal k etihaas ki tarah..

No comments:

Post a Comment