Monday, 28 July 2014

Jalana nahi ab teri bina..maut ki baaho me sokar safar karana hai pura jannet ka

Fasala tha hum dono me sirf do kadam ka...kaash chal diye hote hum wo kadam teri aur.. to pura ho jaata safar hum dono ki manzil ka..yaad hai muze wo paheli mulakaat kahena to muze bahot kuch...kaash dekh paate teri aur ek zalak aur kar paate ezahaar apni mohobbat ka,lekin tab bhi fasala tha hamare aakho se teri aur dekh paati hamari ek nazar ka...kaash hum kuch kah paate..wo kadam teri aur chal paate..to na gujarata ye tanha safar zindagi ka..aakhir kaar tum ne hi kiya ezahaar apni mohobbat ka..apna haath jab tum ne badhaya hamari aur to kash hum bhi apna haath badha paate..duniya ki fikar chhod tumhe apne dil ka haal baya kar paate..hamari majburi to dekho tab bhi hume bas khayal tha majahab k naam par khadi deewaro ka..wo din aaya jab es shaher ko chhodkar...tum jaa rahe the dur kahi hum se u muh modkar..jee kiya rok le tumhe..es duniya ki saari deeware todkar..es shaher ki galiya chhodkar..kaash hum wo kadam chal paate...tumhe kuch kah paate..tere chalate kadamo ko rok paate..tere aachal  me sar rakh kar jee bhar k ro paate..tuze apni aakho se es dil ka dard baya kar paate..ki ab jeena nahi hum me..jalana nahi hume teri bina..bas marana hai tere sang,bhale hi na chal paaye ab hum wo do kadam, kam se kam waha to hum sukun se teri baaho me so paate.....

No comments:

Post a Comment