Udane ka to mann aaj bhi karata hai..panchiyo ki tarah tere sang....mera.lagata hai ab to thandi hawa bankar..chhulu..tere shaher k aasmaan ko,en baadalo ko,aur baarish bankar tere chehare se aakho me utar jaao..gahera saagar bankar... chhu jaao tere dil ki galiyo ko.mere dil k armaan..tum es sawan se kuch kahete q nahi...bas barase ye tere pyar ka rang lekar..dharati odhe dhani chunariya..aur tu aaye mere saamane..khuli aakho ka sapana bankar..mahek un fulo ki bankar,khushboo en hawao ki lekar..aur utar jaaye mere dil me..es paagal dil ki aarju bankar...ab to dil yahi sapana liye es khali aasmaan ko dekhta hai..ki..kabhi to kaali ghata chhaye..baadal bunde barsaaye..aur barsati es tanha barasaat me..kabhi to hum ek dusare se takraaye..tere dil ki galiya..us roz shayad mere dil k khali kamare ko fulo se saja paaye..aur hum dono k mohobbat ki daasta..har gali ka aagan mahekaaye..
No comments:
Post a Comment