Chalate raasto me to kaie loag milate hai yaha..lekin us bhid me wo bewaqt takara jaaye to kya baat ho...har subah suraj ki roshni,dastak deti hai es ghar ki dehliz se.. ghar k khali kamare ko..ek pal wo bhi aaye jab tu khatkhataye..es dil ka darwaaja..aur mile roshni mere sune mann ko.. ye baarish to roz barasati hai..ped paudho sang lehraati huie,rimzim barasati baarish me fisalate hamare payaro ko tu tham le kahi..to ye baarish bhi kayamat ho...zoro ki hawa chalati hai,thandi hawa k saath laheraata ye aachal tere haatho me aakar ruk jaaye to kya baat ho..chalati hu tanha akele es rimzim barasati barsaat me..hawa k es zoke k saath na mera ye aachal sambhalata hai..na ye chhata ..aur na ye paagal dil...bas zoro ki baarish me..garajate baadalo me..tez hawa k es zoke me ye chhata ud tere sirhaane ruk jaaye to kya baat ho..ye baarish to sirf tann ko chhuti hai..mere mann ki deewaro ko tod..tu es ruh me utar jaaye to kya baat ho..mannat meri yahi khuda se..tu es kadar saamane aaye mere aur hum tuz se lipat jaaye..es rimzim baarish me ...ho ye khawabo se hasin mulakaat..to en aakho me khushi ki barsaat ho......
No comments:
Post a Comment