Mann...chanchal mann..badalo se atkheliya karata. Sitaro me apna aashiya dhundata..mann sapano ki uchi udan bharata..mera mann kabhi tanha raheta, to kabhi khushi se zoom uthata,mann kaie sapane bunata..apne armaan pure n honepar..yuhi hasata,mann sapano ki dagar se gujarkar mere dil tak pahochata..najane q waha bas tere entazaar me harpal rota.kabhi chhoti si baat ko lekar aise hi tut jaata..to kabhi bade se bade tufan me..mera hausala badhata,mera mann kabhi bas apni khawisho k liyw jeeta..apne hi armaano me najane q harpal duba raheta..wo kaie sapane dekhta hai..tute khawbo se bhi..judane ki ummid rakhta hai..
Wo harwaqt use dhundata hai..na milane par bas aasu bahata hai..ye aasu dil ki tadap baya karate,us ki dhadkan ko dil se milaneka wada karate..kabhi titaliyo ki tarah chanchal..ye mann..es ful se us ful par apne rang bikherata hai..hai ye paagal mann mera jo hardam khoya khoya raheta hai..tere k aane k enzaar me..punam k pure chand me bas tera chehara dhundata hai..
Wednesday, 1 October 2014
Pagal mann mera jo hardam khoya khoya raheta hai...poonam k pure chand me bas tera chehara dhunda hai..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment