Saturday, 19 July 2014

Le chal muze ab tu..zindagi aur maut se aage kahi

Aisa q hota hai...tere bina harpal adhura raheta hai...tu hai to lagata hai,ye aasmaan bhi mere saath chalata hai...fijao me rangat hoti hai..laheraati hawao  se fulo ki khushboo aati hai.. ye bejaan,viran raate,suni wo raahe..tere saath hone se q badal jaati hai......tu saath hai to lagata en suni raaho ko to bas tera entazaar tha....aakhe lagaye baithi thi ye raahe bhi tere entazar me..ab to lagata hai ye safar kabhi khatam n ho..hum yuhi chalate rahe ek dusare ka haat thame..es raaste ki koie manzil na ho..manzil kaha maangi hai maine..bas tera saath maanga..ab to ye raasta hi meri manzil hai..dur kahi waqt se aage..duniya k daayaro k aage..es mulkh ki seemao k aage..samandar ki lahero k us paar..chand sitaro se aage..chal dhunde apni hum manzil koie..na waqt kare hume ek duje se juda..na ye zindagi...q na saath chale ab hum zindagi aur maut se aage kahi..

No comments:

Post a Comment