Friday, 29 August 2014

Tu baaho me bhar le muze kuch es tarah..jaise barasati barasaat me dharati ko chhuta hai ye aasmaan saara

Kaisi ummid hai es dil ki..dil sambhalata hai to bas us ki baaho me..bhid me akela ho jata hai ye mann mera...khamosh,udas palke bichaye bas entazaar karati hu tera...es dil ko mai samazao kaise..mann ka pachi udas baitha hai..dil me tuz se milane ki aas le baitha hai...ghar ka  ye khali kamara..pijara bankar mere mann ko kaid kar k baitha hai..tu aaye khole ek baar es ghar ka darwaja to pachi bankar ud chalu mai tere sang puri duniya ki sair karane....ab to lagata hai....bas ho khula aasma...baheti nadi ka shor..pahado ko chhute ghane kale baadal...dhalati ho sham jaise..chipata ho suraj pahodo k piche jaise.....sham simat jaye raat ki baaho me..chand so jaye kale badalo k aagosh me...pakh failaye apne mai dekhu jee bhar k nazara..aur pal me barasati barasaat k sang..bhigo de ye badal dharati ka aachal saara..hum dono chhip jaaye us ped par base ghosale me...aur tu baho me bhar le muze thik usi tarah... jaise dharati ko chhuta hai ye aasmaan saara.....

No comments:

Post a Comment