Saturday, 9 August 2014

Nile aasmaan ki makhmali chadar aodhe..jab hote hai wo saath..to chand sitaro ki baarish hoti hai

Loag kahete hai paisa ho to khushi  darwaaje pe datak deti hai..par hum to kahete hai..pyar ho to khushi ghar se jaati hi nahi...makhmali chadar sar pe aodhe ho to nind aati hai..magar nind to tab aati hai jab un ka pyarbyara haath hamare sar par hota hai..hath me haath liye..nile aasmaan ki makhamali chadar aodhe jab hote hai wo saath to sitaro ki baarish hoti hai... ek ek sitare ko kaid kar lenge ab hum apne dil me un ki yaad samazkar....sote hai ab to gale lagakar us chand ko  hum..unhone bheja ho jaise ,ye pyar ka tohafa hamare liye,ye baat jaankar....ye kahani sunkar  suraj bhi aaya mohobbat ki roshni lekar... yahi to wo  wajah hai..saagar hai mere mann ka... jo tu hai harpal paas mere,es waqt ki tarah saath mere..  ye tere pyar ka  hi to asar hai...jo meri duwa kubool ho gaie...es sitaro ki baarish me..suraj ki roshnni lekar....dekho khuda bhi hume dekh rahe hai..saptrangi indradhanush bankar..

No comments:

Post a Comment