Saath hokar bhi saath nahi tu mere...tanha akele gujarate hai ab to sham savere...nazare meri yuhi dhundati rahi teri aakho me pyar mera...kaisa faisala hai zindgi ka..tere saath hone par bhi es ghar me sanata sa hai...hai bas khamoshiya hum dono k darmiya...akele hi gujaar rahi hu zindagi ka ye safar..kitani hai tanhaie yaha...jab thama tha haath saath nibhane k liye mera fir q har mushkil me akeli hi muze chalana tha....kiye the jo waade hazar fir q akele hi takiyo ko gale lagaye muze rona tha...ruth gayi hai ab to ye raate bhi muz se..tute hai sapane...ruth gayi hai ab to meri ye nind bhi muz se..jab khuli aakho se dekha aaiene me maine apni hi tasweer ko...yakin na aaya khud ko khud par hi... kya yahi wo aaiene me meri parchaie hai..jaha kabhi chehare pe kaliyo si muskaan thi...dil me khushi..aakho ko harpal tera entazaar...ab to barsati hai baarish meri aakho se..dard hai dil me.. tune tohafe me jo diye hai muze jakham hazar..apne haatho se kiye maine shishe k ye tukade hazaar..taki es dard bhare chehare ko bhula paao..par..ab to har tukade me bat gaye hai...mere ye gam hazaar..chubhan si hoti hai dil me lagata hai ab to aakhe band karu apni..zindagi se jyada jo..ho gaya hai muze maut se pyar
No comments:
Post a Comment