Sunday, 28 December 2014

A mere dost fir ek baar milate hai..college ki galiyo us bite kal se fir ek baar milate hai...

Ek wo mausam tha college ki baato ka...aisa lagata tha jaise din ki shurwaat college me aane k liye hoti hai...aur raate khatam subah k entazaar me..armaan ...ek sapana huwa karata tha un raato ka...filmo ki deewangi....ddlj ka koie andekha ..anjana chehara aata tha harroz khayalo me mere....aisi hi raate huwa karati thi thandi...aakho me dhudale dhudale se khawab...jinhe pura karane k liye dilo jaan ek karane ki koshish....tab sapane huwa karate the par jeb me paise nahi...yuhi cycle par baithe dusare ki motar car ko dekh kar haato me haat daal saara shaher ghumane ka nazara to bas aakho me..khayalo me huwa karata tha...aaj to bas wahi motar bike dost ban k rah gayi hai...shaher wahi hai..raasta bhi wahi bas apni gadi ki pichli seat pe us dost kami mehasus hoti hai...jeb me bahot paise hai..paani puri nahi ice cream bhi kha sakate hai..     sirf shehar ka ye chhota park nahi....puri duniya ghum sakate hai.. bas mere dost tu aaja ek baar..college ki galiyo me ghumate hai.. zindagi ki wo tuti kadi dhudate hai..jee khol k has sake....hamare yaado se judi gujare palo  ki xerox machine ko dhudate hai...humari yaado ki ek copy nahi ...pachas photo copy karwate hai..fir ek baar hum sab milate hai...bas huwa sochana.. chalo chalate hai...jindagi k us gujare kal ko es pal me jeete hai....


No comments:

Post a Comment