Tere khayalo se hi shuru hota hai din mera..tere hi khayalo se hi gujarati hai meri raate...jee to karata hai waqt se aage jaa k kahi...es waqt me apne saath baadh lu tuze....hota hai mann ye khali khali mera es ghar me....teri muskurati huie tasweer se bhar du ye khali kamara..koie na rok paaye teri tasweer ko gale lagane se muze...waqt k pahero se chura laao mai tuze apne paas...nind aaye to bas teri baaho me har raat...aakh khule subah k suraj k saath..to bas mere sar pe ho tera hath...sine pe sar rakh k tere.. jee bhar k ro le jara ab hum...aur yuhi gujar jaaye din aur raat..khamoahi si hoti hai tere mere darmiya...baat to yahi thi jo sadiyo se muze kaheni thi...ki TERE SAATH GUJARATE ES CHHOTE SE PAL ME HI SADIYO SE MUZE RAHENA THA.. ESI TARAH HARROZ TERI BAHO ME PIGHLANA THA.. jab waqt aaya to ye khamoshi hai tere mere darmiya..par ye khamosh nazare hi to sadiyo purane mere es dil ka haal kar rahi hai baya...bas ab to tu hi hai aas paas..erad gird...subah sham..raat aur din..khawab khayalo me mere...tu es waqt ko kah de..na jaaaye wo es pal se aage kahi muz se...kaid kar le tu apni baaho me muze....jab tak teri baaho me soye..khatam nahi hote dil me kaid ye aasu mere....
No comments:
Post a Comment