Thi tanha..udaas ye raate tere bina...na mausam ki khabhar na chand ka muskuraana..kash fir wo raat aati chand sitaro waali..teri muskurahato waali..anjaan wo galiyo waali..kabhi kabhi to lagata mere shaher ka ye lamba raasta tere mohale ki galiyo me hi khatam hota hai...tere sath chalate wo safar me saath chalanewaala raasta kitana anjaana tha mere liye...lekin laga jaise sadiyo se maine apne sapano me...tuze unhi raaho pe mera hath thame dekha hai..bas ek ramem kar mere khuda.. tu es pagal dil pe..muze wo sapano me tay kiya safar hakikat me lauta de..raasto k khatam hone k baad..jo mili thi manzil muze...wo manzil lauta de..thi wo zindagi ya jannet mili thi us raat...muze wo jannet ki raah mila de..us raat ki subah q etani khubsoorat thi...ye dil samaz nahi paaya us roz kabhi...ab patta chali muze wo wajah jine ki..us roz us k chehare k aaiene me ...maine dekha tha khuda tuze..pyar ka noor mere chehare pe barsaate..zindagi ko jannet se milwaate.. tu muze jannet nahi bas us ka saath de de..us k baaho ki panahe...mere chehare pe us ka haath de..us k saath aage to teri jannet jaisi duniya bhi..mai thukaraane k liye taiyar hu..us k ek pal k saath k liye mai hazaar baar marane k liye taiyar
No comments:
Post a Comment