Kahete hai khawb jab hakikat me utar aate hai...to zindagi jannet ban jati hai...aisa kuch safar tha wo..jab ek din zindagi jannat bankar samane aaie.laga jaise abhi badal ko chhulu aur barish ho jaye..ped patiyo se girati bunde jab chehare ko chhuye mere to mano.ye muz par moti barsaye..thama jo haath tera to laga..aasma pighlane laga....udta koie pachi muze hasate huye dekh..mano kuch gungunane laga...chalati hu saath tere to ye raasta naya naya sa lagata hai...tera u hato me mera hath lekar ruk jana...jaise sar par khuda ka saaya lagata hai....loag roze rakhte hai...khuda tuze paane k liye.loag bhajan karate hai bhagwan tuze paane k liye..loag baibal padhate yeshu tuze samzane k liye...magar bina mange bina kuch kahe...mere alah khuda bhagwan tu raaste me mil jaaye to ese mai teri mohobbat samazu..ya bin mange tune diya tohafa....ab to lagata hai mere khuda... tune diye tohafe me ...es ek din me muze puri zindagi ki khushiya di hai....tohafe me mere dil ka armaan..meri har duwa kubool ki hai... ab na koie armaan hai na koie khawish...bina mage tune meri har duwa har khawish puri ki hai...mere dil k armaan se yahi ek kahena...es zindagi me na sahi..apne khawabo me to sirf tere saath dhalate suraj aur raat k chand ko muze dekhna hai..
Wednesday, 15 April 2015
Wednesday, 1 April 2015
Jee chaha chhip es aasmaan aagosh me..par ye pagal un ki aakho me..apna aashiyana bana baitha
Aajkal to bas silsile chalate hai us ki yaado k....kahani likhu ya kitab us k naam ki....ye daasta thi mere emtehan ki...kagajo me bas likhawat bankar...likhti rahu..ya dil ki gahrieyo me chhipi us ki tasweer ko ko canvas pe utar rahi hu....dil dhadkane...har aarju har chahat bas us ki ebadat karati hai...dil ne chaha...pachhi bankar ud chalu es nile aasmaan...me..aagosh me chhip jaao es nile aasmaan k...par ea paagal dil ko samazao kaise.. ki ye to us ki aakho me hi apna aashiyana bana baitha..samaz nahi aata raaste kaie saare hai..par ye pagal dil raaste k patharo ko hi apni manzil samaz baitha...tuta bhi es kadar...rahe dhundani ki chah me..manzil ka pata bhul baitha.
Tuesday, 31 March 2015
Kaash ...khayalo ki dasta hum..hakikat me baya kar paate
Baat q thi aisi ki koie bas khayalo me hi tha...koshish thi us tak pahuchne ki...ek koshish use apne dil ka saara haal baya karane ki...par kya es dil ko wo samazate nahi...aur hum aakho me khushi lekar dil ka dard baya kar paate nahi....wo kahete hai hum bade hi khush dil hai...aur hum bichdane ka gam unhe jata paate nahi....takdir kahe ya kismat hai ye hamari..jee to hum aaj bhi bina un k jee pate nahi..
Saturday, 10 January 2015
Socha botal ko gale laga k jakham sukh jaayege hamare....par kya kare..bina nashe k hi us ki yaad me apne hosh gava baithe hum...
Ye khawisho ka mausam hai bada ajib...kabhi khushiyo ki fuhar to kabhi tute khawabo se bhara ye dil ka aasmaan.. n jaane mann ki udan kaha kaha le jaati hai..kabhi ye mann khushi k saagar duba duba sa raheta hai to kabhi yuhi achanak tutkar bikhar sa jaata hai..pata nahi chahat thi etani gaheri q....ki un k bina jee hi na sake hum...harpal thi yaad un ki dil me
..yuhi lamha lamha..tutkar bikhrate rahe hum....dil ko samazate bhi to kaise samazate.....agar hum es dil ko samaza paate....to kaha u tanha akele hote......baat to yahi thi ki...es duniya ki bhid me hum un k bina adhure ..akele the...ab to lagata hai es tanhaie se hi ek rishta sa ban gaya hai hamara....suni galiyo me en raasto ki tarah akele hi chalate hai ab hum...ghar ki diwaro ko gale lagakar yuhi akele rote rahete hai hum.....na to kisi manzil ki talash hai.....na kisi k aane ka entazaar...takiyo ko gale laga k dhudhle sapano me saari raat gujar dete hai hum...kaash thoda dard kam ho pata es dil ka..na jaane q etani chubhan si thi dil me..socha botal ko gale laga k..jakham sukh jaayege dil k...par kya kare bina nashe k hi....us ki yaado me apne hosh kho baithe the hum....