Wednesday, 15 April 2015

Wo ek din jab zindagi jannant bankar samane aayi

Kahete hai khawb jab hakikat me utar aate hai...to zindagi jannet ban jati hai...aisa kuch safar tha wo..jab ek din zindagi jannat bankar samane aaie.laga jaise abhi badal ko chhulu aur barish ho jaye..ped patiyo se girati bunde jab chehare ko chhuye mere to mano.ye muz par moti barsaye..thama jo haath tera to laga..aasma pighlane laga....udta koie pachi muze hasate huye dekh..mano kuch gungunane laga...chalati hu saath tere to ye raasta naya naya sa lagata hai...tera u hato me mera hath lekar ruk jana...jaise sar par khuda ka saaya lagata hai....loag roze rakhte hai...khuda tuze paane k liye.loag bhajan karate hai bhagwan tuze paane k liye..loag baibal padhate yeshu tuze samzane k liye...magar bina mange bina kuch kahe...mere alah khuda bhagwan tu raaste me mil jaaye to ese mai teri mohobbat samazu..ya bin mange tune diya tohafa....ab to lagata hai  mere khuda... tune diye tohafe me ...es ek din me  muze puri zindagi ki khushiya di hai....tohafe me mere dil ka armaan..meri har duwa kubool ki hai... ab na koie  armaan hai na koie khawish...bina mage tune meri har duwa har khawish puri ki hai...mere dil k armaan se yahi ek kahena...es zindagi me na sahi..apne khawabo me to sirf tere saath dhalate suraj aur raat k chand ko muze dekhna hai..

No comments:

Post a Comment