Ye khawisho ka mausam hai bada ajib...kabhi khushiyo ki fuhar to kabhi tute khawabo se bhara ye dil ka aasmaan.. n jaane mann ki udan kaha kaha le jaati hai..kabhi ye mann khushi k saagar duba duba sa raheta hai to kabhi yuhi achanak tutkar bikhar sa jaata hai..pata nahi chahat thi etani gaheri q....ki un k bina jee hi na sake hum...harpal thi yaad un ki dil me
..yuhi lamha lamha..tutkar bikhrate rahe hum....dil ko samazate bhi to kaise samazate.....agar hum es dil ko samaza paate....to kaha u tanha akele hote......baat to yahi thi ki...es duniya ki bhid me hum un k bina adhure ..akele the...ab to lagata hai es tanhaie se hi ek rishta sa ban gaya hai hamara....suni galiyo me en raasto ki tarah akele hi chalate hai ab hum...ghar ki diwaro ko gale lagakar yuhi akele rote rahete hai hum.....na to kisi manzil ki talash hai.....na kisi k aane ka entazaar...takiyo ko gale laga k dhudhle sapano me saari raat gujar dete hai hum...kaash thoda dard kam ho pata es dil ka..na jaane q etani chubhan si thi dil me..socha botal ko gale laga k..jakham sukh jaayege dil k...par kya kare bina nashe k hi....us ki yaado me apne hosh kho baithe the hum....
Saturday, 10 January 2015
Socha botal ko gale laga k jakham sukh jaayege hamare....par kya kare..bina nashe k hi us ki yaad me apne hosh gava baithe hum...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment