Ek wo mausam tha college ki baato ka...aisa lagata tha jaise din ki shurwaat college me aane k liye hoti hai...aur raate khatam subah k entazaar me..armaan ...ek sapana huwa karata tha un raato ka...filmo ki deewangi....ddlj ka koie andekha ..anjana chehara aata tha harroz khayalo me mere....aisi hi raate huwa karati thi thandi...aakho me dhudale dhudale se khawab...jinhe pura karane k liye dilo jaan ek karane ki koshish....tab sapane huwa karate the par jeb me paise nahi...yuhi cycle par baithe dusare ki motar car ko dekh kar haato me haat daal saara shaher ghumane ka nazara to bas aakho me..khayalo me huwa karata tha...aaj to bas wahi motar bike dost ban k rah gayi hai...shaher wahi hai..raasta bhi wahi bas apni gadi ki pichli seat pe us dost kami mehasus hoti hai...jeb me bahot paise hai..paani puri nahi ice cream bhi kha sakate hai.. sirf shehar ka ye chhota park nahi....puri duniya ghum sakate hai.. bas mere dost tu aaja ek baar..college ki galiyo me ghumate hai.. zindagi ki wo tuti kadi dhudate hai..jee khol k has sake....hamare yaado se judi gujare palo ki xerox machine ko dhudate hai...humari yaado ki ek copy nahi ...pachas photo copy karwate hai..fir ek baar hum sab milate hai...bas huwa sochana.. chalo chalate hai...jindagi k us gujare kal ko es pal me jeete hai....
Sunday, 28 December 2014
A mere dost fir ek baar milate hai..college ki galiyo us bite kal se fir ek baar milate hai...
Thursday, 25 December 2014
Saanse chalati bhi hai meri.....to bas us ek pal se rubaroo hone ki khatir..
Saara jahan maaga..sapano ka aasmaan maanga...a mere khuda maine us ki khushi k khatir .. tuz se apne liye dard ka aalam maaga...mere jaane pahachane raasto me bhi etani raunak na thi kabhi....utani hi khubsoorat wo anjaan galiya thi... tha mere sapano k shaher ka mausam etana nirala ki thandi ki raat me .. ...ho rahi thi barsaat,aasmaan se khushiyo ki...tera hato ko u chhu lena maano..baadalo ka pahado ko chhuna..indradhunus bankar aasmaan ka dharati pe aana...kabhi kabhi to lagata hai..mere jeene ki wajah hi tu hai...saanse chalati hai to bas us ek pal se rubaroo hone k liye...etani lambi zindagi nahi...muze to bas wo ek pal chahiye teri baaho ki panaho me apni aakhe band kr jaanet ki sair karane ka..teri baaho me tinka tinka pighalane ka...wo pal najane q din raat meri aakho me chalata hai...khuli aakho me ab to bas wahi ek sapana palata hai...band aakho me kaid hai wo pal mera...khuli aakho me bhi hai...bas ek sapana tera....bas ab tu hi bata kaise gujarega tera bina zindagi ka har pal mera....jab tu hi nahi to kaise hoga mere sapano ka aasmaan pura...es jaameen se muze kuch kahena hai..na muze ab yaha rahena hai...sitaro se aage us naye jaha me hi pura hoga ye hasin khawab mera...
Saturday, 20 December 2014
Hai ye mausam..barf me jame hamare sapano ka..tere haato ki garmi se..apne khawbo le hakikat me utar ab hum.....
Akele..tanha tanha sa hai ye safar zindagi ka...mausam thandi raato ka... akele hi apne saath tuze le chalate,un yaado ka...kab shuru hoga fir se wo silsila... hamari hasin mulakato ka ....es thandi me tere kande par apna sar rakhkar..saari raat soye hum...na ho ye mulakat khatam..ab ki baar es mulakat me tere sine pe sar rakh k..puri zindagi..es pal me gujar de hum....kaie sapane hai..meri en aakho me ..sardi me chadar aodhe utar le tuze apne dilo jaan me hum....hai ye mausam barf me jame hamare sapano ka....tere haato ki garmi se en khawabo ko hakikat me utar le hum....mausam to aise hi gujar rahe hai....sirf teri yaado me..saavan gujara aise hi..gujar jaayega aise hi sardi ka ye mausam.. puri kar de ab to aarju tu mere dil ki....es mausam k gujarane se pahele..pighle mera ye dil teri baaho me sanam...gujare saari raat tere sirhane baithkar......jab aakhe kholu apni es subah...suraj se pahele..en aakho k saamane bas tum nazar aao...ban k mere humkadam...chale hum saath saath..jiye hum saath saath...ho mere subah sham tere naam se shuru tere naam pe khatam...dur kahi barfile pahado k piche....thandi hawao ki chadar aodhe...ek duje k aagosh me..bhul jaaye es pure jaha ko ab hum...samay k us paar....es duniya se milo dur.....sitaro k us jaha me banayege..apna ek naya aashiyana hum.....
...