Samaz n aaye dil kya cahe..kabhi to ye kahani hai do hasin dilo ki magar kabhi hai daasta..do ruthe dilo ki.. aaj jo aakho k saamane nazar aata hai..ye sach hai...ya jo kal sapano me dekha tha.bas wahi ek khawab har din hai mera.....na jaane mere khuda tum chahate kya ho..ek naya badlav..ya aaj chal raha ye mausam zindagi ki raat hai....a khuda meri to bas hai..yahi ek duwa..mausam badale ye adheri kali raato ka..joro ki barsaat ka..safar ho ab shuru mere sapano ki us raat ka..ek haseen mulakat ka...ho ek naya daur shuru..jo hai mere dil me tere khayalat ka...kayamat aaye ab to bas..badale har mod meri zindagi ka...bas ho safar shuru ab hum dono k saath ka.. pighale baadal..barase saawan....tute aasman ...chhute har gali..aur zindagi le chale muze bas ab teri gali....na rok sake..na tok sake koie...ruk jaaye ye waqt yahi...tasweer me jaisi kaid hoti hai yaade..waise tere dil k sirahane baith..es waqt ko kaid kr lu mai ab kahi.aur ban jaye ye waqt..ye pal...mere zindagi ki tasweer nayi....
Saturday, 29 November 2014
Monday, 3 November 2014
Kabhi kahi se har chehara tum jaisa lagata hai......tum ko bhul na paayege hum aisa lagata hai
Jeene ki to sirf ek yahi wajah hai..harpal dil me tuz se milane ki jo khawish hai....wo ek pal hi to hai tere saath mere gujare kal ka...jis ki sirf yaado se hi,mere aanewale kal ki har subah roshan hai..es shaher ki galiya badi udaas lagati hai muze..logo k kaafile chalate hai yaha,par koie apna chehara nahi....akeli aur tanha hoti hu mai yaha..teri yaado ko hi le chalati hu saath es duniya ki bhid me...us roz achanak se raaste pe tera u takarana..mano bin baadal barasaat ka aana..gujarati to harroz hu mai us gali se....magar aaj hawao me kuch baat thi..raaste k fulo ki khushboo me bhi ajeeb si mahek.....mano raho pe ho rahi sitaro ki zilmil barsaat thi..ek pal k liye hamari duniya tham si gayi waha....bas ek baar.. ha ek baar hume apne gale se to lagate...fir pata chalata tumhe,es dil me tuz se milane ki kitani kashish thi...aarju to tab adhuri rahi es dil ki..jab tum hamara haath chhod us gali se nikal aaye. Aur ek ye hamara pagal dil..tere milane ki tadap me..hum chalati gaadi se takraye..loag kah rah the...bahot khun bah raha hai..jakham bahot gahera hai....kaaash hum duniya ko samaza paate...es jamane ki khatir hi to unhone hume thukaraaya hai...gadi ki shisha nahi dil tuta hai hamara.jakham paiyaro me nahi.dil me huwa hamare.tabhi to ye paagal dil aaj bhi us ki yaad me tadpata hai..aaj bhi un raaho pe har chehare me tuz ko dhundate rahete hai hum... ab to......kahi kahi se har chehara tum jaisa lagata hai. Tum bhul na paayege hum aisa lagata hai...