Wednesday, 15 October 2014

Kabhi jo sunayi thi hamare pyar ki gazal es samandar kinare tuze .....ab to dhalati sham se hi apna dard baya karana sikh liya maine....

Apni khawisho k saath akele rahena maine sikh liya...udati hawa k saath..pakh fahlaye  nile aasmaan me udana maine sikh liya.... es mausam ko waqt k saath jo badalate dekha maine,.to es badalati hawa k saath, ha es baarish k saath..thandi me chadar odhe...tapati dhup me bhi chalna ab sikh liya maine....harpal me bas dhudati raheti hu us gujare kal ko...es pal k saath...teri yaado me  jeena sikh liya  ab maine...tuz se hi to judi hai mere dil ki har. chahat...meri har khushi.. es dil ki ek tu hi  to hai hasarat....teri chehare  ki hasi ko dekh kar..muskuraana sikh liya maine.....samandar k kinare..dhalate suraj ko khuda maankar...waqt ki tarah fisalati es ret ko ek jagah sajokar..banaya hai maine.. ek mahel hamare sapano ka.. tera entazaar karate karate akele hi...lahero se baate karana sikh liya maine....kabhi jo sunayi thi apni dil ki kaveetaye tuze...aaj es dhalati sham se hi apne dil ka dard  baya karana sikh liya mainne...teri yaad me paagal....jaisi dharati se milane tadpata hai baadal..ab to tuz se juda rahekar.. es tanhaie se bhi pyar karana sikh liya maine.....

Sunday, 12 October 2014

Jab hai adhura ye zindagi ka safar .....to q ae zindagi meri mulakaat maut se nahi hoti.....

Ek chhota sa hi  to khawab tha es dil ka..palbhar ki khushi...ek pal ki hasi..dil ki khubsurati..baato me maza..raato me chand ka baadal k piche se muskurane ka entazaar...harpal ki khushi..har dil me ho hasi...bas etanasa hi to khawab hai mera....kabhi kabhi khuda se puchna lagata hai..aisa kya maag liya hai maine ki duwa kubul hi nahi hoti....chhoti si hasarat..harpal me khushi ki chahat.har chahat hoti  to hai puri... fir bhi na jane q khushi naseeb nahi hoti...harroz,harpal bikhrate hai yaha mere dil k armaan..ek pal k liye bhi dil ki aarju puri q nahi hoti......mannat hi to  maangi hai mere khuda tuz se..jannet ki to chahat bhi es dil me na thi...kaash puri hoti es dil ki duwa..dil me tere siwa..na kisi aur chiz ki chahat thi..na pura ho saka meri chahato ka safar to koie gam nahi..bich safar me hi en raaho ki mulakat tuz se q nahi hoti.. jab adhura hi hai ye zindagi safar..to q ae zindagi........meri mulakat maut se nahi hoti.....
I

Monday, 6 October 2014

Raato ki khamoshi me q rahe gaya ye dil tanha mera...

Raato ki khamoshi me..tanha hai ye dil mera....sapano ki udan liye tuz tak pahochna chahata hai ye dil mera...raat ka ye manzar to dekho..khubsoorat hai ye raat..ho rahi hai sitaro ki barsaat..fir bhi akela hai ye dil mera..sabkuch to hai yaha..bas tera saath na mila..akele es takiyo ko lipatakar kab tak tanha roye hum....ek din to wo aaye..jab tere kaandhe pe sar rakh k saari raat gujare hum...jee bhar k roye hum..teri mohobbat me aasu bahate mere dil k aasu,nahi hai kisi garjate baadal se  kam...tufan..jo laya hai hawao ne ruk jaayega kuch waqt k baad...par kaise rok paayege hum dil hi dil me..teri yaado ka sailab..tere ..sab kuch to hai yaha..resham si chadar..sitaro ka aasman hawao ka mahekana...hawa ka khidkhiyo se dastak dena.fir kya nahi jo nind muze aati nahi.....to bas jawab aaya es dil se...ek tu hi to nahi ..jis wajah se ye mausam muze acha lagata hai...ek tu hi to nahi..jis wajah se en sab k saath jeena muze lagata hai...tu hai to kya sitare..kya nazare....sab kuch kurbaan hai tereliye...bas tu...aur tu hi..na koie..chand na ye sitare..na ye suhana mausam..na ye nazare.... kuch bhi nahi es dil ki chahat....siway tumhare..

Sunday, 5 October 2014

Us ek din k liye..sajoya hai meri aakho ne sapana sirf tereliye

Teri saanso se hi to rishta hai meri dhadakano ka..ha ek din,bas wo ek din mil jaaye..to tere saath apni puri zindagi us ek din k liye udhar mang lenge hum...ha ek din bas wo ek din mil jaaye to us ek din me tere liye hazar khushiya mang lenge hum...mile to sahi ek din tu muze to harpal me apni puri duniya jee lenge hum..hazar pal..hazar khushiya..kurbaan hai tere saath es zindagi ka ek pal bitane k liye...maut ko gale lagana bhi manzoor hai muze agar us ek din me teri baaho ki panah mile...wo ek din aaye to sahi..har dard...har taklif..ko gale lagana kubool hai muze..
Teri baaho me khud ko bhul baithe mere es pagal dil k liye..ab to manga hai har pal khuda se maine..bas tere saath aanewale naye din k liye..ha us ek din k liye.......jo sajoya meri aakho ne,apne sapano me bas tereliye...

Wednesday, 1 October 2014

Pagal mann mera jo hardam khoya khoya raheta hai...poonam k pure chand me bas tera chehara dhunda hai..

Mann...chanchal mann..badalo se atkheliya karata. Sitaro me apna aashiya dhundata..mann sapano ki uchi udan bharata..mera mann kabhi tanha raheta, to kabhi khushi se zoom uthata,mann kaie sapane bunata..apne armaan pure n honepar..yuhi hasata,mann sapano ki dagar se gujarkar mere dil tak pahochata..najane q waha bas tere entazaar me harpal rota.kabhi chhoti si baat ko lekar aise hi tut jaata..to kabhi bade se bade tufan me..mera hausala badhata,mera mann kabhi bas apni khawisho k liyw jeeta..apne hi armaano me najane q harpal duba raheta..wo kaie sapane dekhta hai..tute khawbo se bhi..judane ki ummid rakhta hai..
Wo harwaqt use dhundata hai..na milane par bas aasu bahata hai..ye aasu dil ki tadap baya karate,us ki dhadkan ko dil se milaneka wada karate..kabhi titaliyo ki tarah chanchal..ye mann..es ful se us ful par apne rang bikherata hai..hai ye paagal mann mera jo hardam khoya khoya raheta hai..tere k aane k enzaar me..punam k pure chand me bas tera chehara dhundata hai..