Sawal jo kiya maine apne aap se ek roz ki.....khushi me bhi aakho se aasu bahene ki wajah kya hai...dard me rote rote fir ek baar muskurane ki wajah kya hai..to bas ek aawaz aaie es dil se....dil k kamare me kaid teri tasweer hi mere har dard ki dawa hai...har dard aur taklif me hota hai tera saaya mere sar pe ..lagata hai khuda se tune maagi, mere hasi ki duwa hai..tere dur hote huye bhi..aas paas, har taraf,har jare jare me...tere kadamo k nishan hai.....hawao me aaj bhi...us gujare kal ki khushboo..raato me aaj bhi tere saath gujare har lamhe ki mithi yaado ka sapana..bas lagata hai..tu na sahi....teri yaad me khud ko bhuli huie..mere dil ki har yaad..yahi to mere jeene ka ek naam hai
Friday, 26 September 2014
Thursday, 25 September 2014
Bas ek tu mil jaaye to es khuda ki tasweer ko tarash kar.us pathar ki murat ko bhi..tera naam dene ka erada hai mera
Waise to koie aarju nahi..na koie armaan mera..par patta nahi ek tere saath hone se kya ho jata hai muze jameen pe chalati hu..par fir bhi adhura hota ye mann ka aasman mera...koie aisi chahat nahi thi kabhi, ki hakikat me ho koie sapana pura..bas ek khayal aur khayal tha harwaqt dil me tera..sapano ko mil jaayegi manzil...raato me khubsoorat sitaro ki zilmil..kabhi na laga raato me chhipa hoga,mere jiwan ka savera..baat to tab thi jin raaho se akele chalane me dar lagata hai muze..aaj usi raaste par dur khade nazar aata hai muze chehara tera...dil samaza hi nahi..aakhir us ki chahat kya hai..aarju tuze paane ki..ya khud ko bhulkar tuz me khoye rahene ka armaan tha mera..kabhi to lagata hai mukdar me likha tha,fir ek baar milana tera..meri saanso ko tuz se jodkar ..har raaste ko piche chhodar tere naam se apni pahechan banane ka shayad dil ka erada tha mera..mera ye dil sunata q nahi..teri yaado se dur akela raheta q nahi...ab to lagata hai..bas teri yaado ki doli me baithkar rab k darwaje kholane ka armaan hai mera..tu mil jaaye to es khuda ki tasweer ko tarash kar..us pathar ki murat ko bhi tera naam dene ka.... erada hai mera....
Wednesday, 17 September 2014
Un k liye sajoye hai apne saare sapane...par hamari kismat to dekho zindagi sapane mebhi hamara saatg nahi deti
Sirf un k liye zindagi k saare sapane sojoye hai. Par hamari kismat to dekho...zindagi sapne me bhi hamara saath nahi deti...milate to hai sapano me ek dusare se..par hote hai juda pal bhar me..kahena to hai bahot kuch un se..par labj bhi hamara saath nahi dete...nazare zukaye khade un k saamane hum...aakho ki koshish hamare un ki aakho me apni tasweer dekh ne ki...ek zalak un ki aur dekhni ki tamnna hai..par kya bataye ye nazare bhi hamara saath nahi deti...chahate to hai ,bas un k hi kareeb rahe harpal hamesha..par kya kare ab to hamari chahat bhi hamara saath nahi deti..
Thursday, 11 September 2014
Es zamane k daayaro ne muze tuz se milane se rok rakha hai..esliye to hum ne teri yaad ko apne dil k daayare me kaid kar k rakha hai
Mere dil ki aarju to dekho...dil me bas ek hi tamnna hai tuze paane ki..
Dil hi dil me to harpal saath hai tu mere..bas aarju hai tuze mil k jee bhar k rone ki...mumkin ho to hawa bankar chhu jaao tere dil ki galiyo ko...mumkin ho to ye pal bankar..tere aanewale kal me thehar jaao mai tere saanso ki khushboo bankar..mera mann to bas ye chahe..ki harlamha to hi to...har jare me bas tu nazar aaye..mumkin ho to tere ghar ka suna aagan ban jaao..kam se kam ghar aate jaate to, chhu lenge tere kadam muze har baar...mumki ho to tere saath chalata raasta ban jaao..kam se kam es bahane to saath chalege hum har baar... mumkin ho to tere sar tale ka mai takiya ban jaao..kam se kam es bahane to tuze apni godi me sula paaye hum ek baar..mumkin ho tere ghar ka aaiena ban jaao..kam se kam khud ko dekhne k hi bahane..tu ek zalak..dekh to le hume..ek baar..jamane ne banaye hai pahere hazaar..es zamane k daayaro ne muze tuz se milane se rok rakha hai..esliye to maine teri yaad ko apne dil k daayare me kaid kar k rakha hai...